Woh mera Banaras tha..!!!❤️
Main Prayagraj thi....
Jahan teen nadiyaan milti hain,
Par ek nadi kuch zyada apni si lagti thi....
Wo Ganga thi…
Jo mujhse ho kar guzarti,
Par rukti us Banaras mein thi,
Jaise Banaras hi sab kuch tha uska, aur mein kuch nahi..
Jahan teen nadiyaan milti hain,
Par ek nadi kuch zyada apni si lagti thi....
Wo Ganga thi…
Jo mujhse ho kar guzarti,
Par rukti us Banaras mein thi,
Jaise Banaras hi sab kuch tha uska, aur mein kuch nahi..
Wo Banaras tha…
Sadiyon se basa hua, har mod pe kahaniyon se sajta,
Ganga ke kinaare jisme aarti baje,
Aur har ek gali mein koi pavitra kahani basti
Sadiyon se basa hua, har mod pe kahaniyon se sajta,
Ganga ke kinaare jisme aarti baje,
Aur har ek gali mein koi pavitra kahani basti
Aur main?
Main ek sangam thi....
Jisme pyaar, vishwas, aur tanhaai ka milan hota tha...
Yamuna jaisi narm, Saraswati jaisi chup,
Aur Ganga ke liye sada tarasti hui...
Main ek sangam thi....
Jisme pyaar, vishwas, aur tanhaai ka milan hota tha...
Yamuna jaisi narm, Saraswati jaisi chup,
Aur Ganga ke liye sada tarasti hui...
Main dekhti thi use door se,
Jaise koi teerth nazar aaye, par haath na aaye...!!
Wo har kisi ka tha,
Muskurata, milta, jeeta, Dil khush kar deta.…
Par mere liye, sirf ek musafir tha..,
Jo kuch pal theher, phir apni manzil ki aur chala jaata...

Uski muskaan Banaras ki Holi si thi,
Rango se bhari, hasti, sabko choo jaane wali...
Aur meri aankhen?
Sirf uske rang mein rangne ko tarasti thi...
Rango se bhari, hasti, sabko choo jaane wali...
Aur meri aankhen?
Sirf uske rang mein rangne ko tarasti thi...
Mujhe laga, kabhi to samjhega wo,
Ke mere sangam mein hi hai uske mukti ka raasta...
Par Banaras toh apne hi rangon mein rang gaya,
Aur main… bas ek nadi ban reh gayi..,
Ek Nadi 𑁋
Jo har pal uske paas pahunchti toh thi,
Par kabhi uske dil mein bas na paayi...

Usne kabhi poocha hi nahi,
Ki meri baatein hamesha usi par kyun khatam hoti hain...
Usne kabhi dekha hi nahi,
Ki meri khamoshi bhi uske aane se machal jaati thi..
Ki meri baatein hamesha usi par kyun khatam hoti hain...
Usne kabhi dekha hi nahi,
Ki meri khamoshi bhi uske aane se machal jaati thi..
Main Prayagraj thi....
Jahan log paap dho jaate hain,
Par main apne andar ek naam basaa kar,
Har din usse yaad kar thodi aur pavitra ho jaati thi...
Jahan log paap dho jaate hain,
Par main apne andar ek naam basaa kar,
Har din usse yaad kar thodi aur pavitra ho jaati thi...
Wo Banaras tha..
Jo diya jalaata tha har raat,
Main woh shant nadi..,
Jo sirf uski roshni mein bheegna chahti thi...!!
Jo diya jalaata tha har raat,
Main woh shant nadi..,
Jo sirf uski roshni mein bheegna chahti thi...!!
Kabhi kabhi sochti hoon,
Agar main bhi ek Banaras hoti,
Toh kya usne mujhe apna kaha hota?
Ya mere sangam se guzarta hua bhi,
Kisi aur mein hi kho jaata?
Main aaj bhi wahi hoon —
Ek milan ki jagah,
Jahan prem, tyag, aur intezaar ek saath snan karte hain.
Aur wo…
Banaras hi hai —
Roshan, shabd se bhara hua, aarti se ghunjta..
Sab ko moksh deta,
Jahan prem, tyag, aur intezaar ek saath snan karte hain.
Aur wo…
Banaras hi hai —
Roshan, shabd se bhara hua, aarti se ghunjta..
Sab ko moksh deta,
Bas mera nahi ho paya..!!!!
The best Writer ever 👌
ReplyDelete❤️❤️
Delete