Sheher..!!!



Anjaan sheher mein, ajnabi ban ayi thi...
Ajanabiyo ke beech, apnapan dhundhne ayi thi...
Ayi thi kuch sapne liye...
Ma Papa ki duaein liye ayi thi...
Bhai se hidayatein liye ayi thi...
.
.
.
Anjaan sheher, anjaan galiya thi yaha...
Har chehra anjaan tha....
Muskurahatein toh har chehre pe thi...
Par har chehre pe naqab tha..!!
.
.
Dheere dheere samajh aya..
Yaha toh har koi zindagi ki jung lad raha hai..
Koi sabke saamne ladta hai..
Toh koi chupke se sab sehta hai...!!!
.
.
Iss bhagte sheher ne bahot kuch diya...,
Par sukoon toh aaj bhi maa ke haath ki roti sabji mein hi chupi hai...
Sukoon toh aaj bhi papa se pocket money lene mein hai...
Sukoon toh bhaiya se ek toffee ke liye jhagadne mein hai...,
.
.
Zindagi mein aage toh badh gaye...
Par khudko kahi peeche hi chod aaye...!!!
.
Yaha zindagi jeene ka tarika seekha...,
Yaha ajnabiyon se rishte banana seekha..,
Yaha marte marte, zindagi jeena seekha hai..!!!

πŸ’–πŸ’œ











Comments

Post a Comment

Popular Posts