Humsafar tha tu..!!!
Kehta tha "Humsafar hu tera,
Zindagi bhar hanth thaame sang chlunga",
Pal do pal mein hi kyu sab kuch chod,
Mujhe yun akela kar gaya..!!
.
.
Phele adat thi akele rehne ki,
Par tune sab badal, apni adat lagadi,
Yaad hai, jab kehti thi tujhe,
"Mat laga adat apni, auro ki tarah ek din tu bhi chala jayega"
Aur tu naraz sa hoke mujhse puchta -
"Bas itna bharosa hai mujhpe??"
Toh sun,
Bhaorsa toh tha tujhpe pura,
Bas apni kismat se wakif thi,
Dekha tha bachpan se, apno ko jaate,
Isiliye, rishto se bhaagti thi
Akeli thi, par bikhri nahi thi..,
Bikhera toh tune tha, woh bhi iss tarah,
ke ab khud judne ka irada nahi bacha..!!
Duniya na jaane kya kya kehti gayi,
Par koi farak nahi padta tha mujhe,
Par tera yun mujhse muh ferna,
Sach kahu toh maar deta hai...!!
Tujhe gaye toh saalon hogaye,
Par tere yaadon ka basta mere pass hi reh gaya,
Aaj bhi jab phone mein un tasveero ko dekhti hu,
Toh aansu nahi rukte,
Waise to kamzor nahi hu,
Par teri na-maujudgi ne kamzor kar diya hai...!!!
Kehta tha na ke Humsafar hai tu mera,
Toh aaj zindagi ke iss safar mein,
mein khudko akela kyu paati hu...!!!!!!
💔💔
Killing lines yaar
ReplyDeleteDil ki bat Hai but gehri hai
DeleteLoved it ❤️