Yaadon ka baksa✨




Yaad hai aaj bhi, kaise papa ki ungli pakad, pura sheher ghumti thi,
Haan, kabhi unke gandhe pe baith mele nahi ghumi hu,
Par unke saath scooty ke aage baith, apna chota sa sheher zaroor ghuma hai....
.
.
Yaad hai aaj bhi, kaise maa ka pallu pakad, unke aage peeche ghumi hu,
Haan, maar toh khayi hai bahot unse,
Par zindagi ka phela akshar likhna bhi unse hi seekha hai...
Meri Zindagi ka phela shabd jo thi, 
Bas wahi duniya thi meri....
.
.
Yaad hai aaj bhi, kaise bhaiya sang cycle pe sawar, hawaon se baatein karti thi...
Girti padti, bhaiya ko daant bhi khilati thi...
Ek dusre ko hamesha tang karte rehna jaise adat si thi humari,
Par kisi teesre ke khilaf, dono ek saath khade rehte the...
.
.
Yaad hai aaj bhi, woh masumiyat wali dosti
Woh galiyon mein bhaagna,
Woh khelna lukka chupi,
Toh kabhi cricket khelna...
Kisi ke ghar ke kaanch todte the, toh kisi restricted site mein chauka maar dena,
Aur phir, sabse choti hone ke naate, mera ball wapas lane jana...
.
.
Yaad hai aaj bhi, kaise ek auto mein baith sabhi school ka safar tay karte the,
Aur school "Kabristan pe bana hai", yeh jhooth bhi bade garv se maan lete the...
Kaise mujhe chot lagne pe, ma-papa ke phele bhaiya ko bulaya jata tha...
Aur sach kahu, woh Bhaiya ka nahi, mera 2nd parent ka tag liye school mein ata tha....
.
.
Yaad hai aaj bhi, kaise mummy sang kitchen mein kuch naya seekhti thi...
Rotiya gol toh nahi ban pati thi,
Phir bhi papa, sabse phele meri hi roti ko le, bade pasand se khate the...
Aur kaise, mere haathon ki chai, pure ghar ki manpasand ban baithi thi...
.
.
Pata nahi, woh aadhi kacchi rotiya papa itne pyaar se kaise khaa lete the,
Kaise mummy sare din meri bak bak seh leti thi,
Kaise bhaiya, lakh daant khane ke baad bhi, mera haath nahi chodta tha...
Kaise dost, har roz nayi kahaniya bunte the,
Har auto ki sawari, ek nayi dastan sunati thi....
.
.
Ab rotiya toh gol ban jati hai,
Par woh khushi kaha, jo unn adi-tedi rotiyo mein thi...
Ab nazme likh leti hu, 
Par maa ka haath pakad ke padana yaad ata hai....
Haan, Bhaiya ke saath dynamics zyada badle nahi hai..
Bas cycle se Bike pe agaye hai,
Aur, jhuth ka roke, papa se daant khilane se leke,
Jhooth bolke, ek dusre ko papa se bachane tak ka safar tay kiya hai.....
.
.
Haan, Ghar se nikle toh saal beet gaya,
Par Ghar ko kabhi chod na payi,
Woh sunehre dino ki yaadein, aaj bhi bakse mein kaid kar, mehfoos rakhi hai..
Jab bhi zindagi se haar jaati hu, toh uss bakse ko khol,
Phir se Zindagi jee leti hu,
Phir se Zindagi jee leti hu.........!!!!!!!!!!!!

❤️❤️




Comments

Post a Comment

Popular Posts