Diwali phir aa rahi hai..!!!!


Diwali phir aa rahi hai,  

Par ab diwali mein diwali wali baat nahi lagti,  

Diwali toh tab acchi thi,  

Jab papa sang jaake diye kharidte the,  

Bhaiya sang, ek mahine phele se patake ikhatte karte the...  

Mummy gujiya banati, toh mein apni nayi frock bade shauk se sabko dikhati...  


Woh milke Mandir sajana, Ganapati bappa sang Lakshmi Mata ki puja karna...

Diye jalake maa-papa ke haath se wo arti karna,  

Aarti ke baad haste haste humara patakhe leke daud jaana,  

Aur pehli fuljadi jalate hi chehre pe chamak ajanaa...  


Woh sutli bomb ke fatne ka darr, toh saath mein fuljadi ki ronak,  

Woh anar ki uchi chingariya, toh chakri ka gol gol ghumna,  

Ghar ghar jaake mithayi baatna, aur kabhi khali haath na lautna...  

Woh gali ke baccho ka saath milke patakhe fodna,  

Aur mummy ka 'Sambhal ke, jal jayegi' kehna...!!  


Aaj diwali ke hafte bhar phele bhi,  

Na diye aaye, naa hi patakhe kharide,  

Na maa ke haath ke gujiye mile, na papa sang bazaar jaa paye...!!  


Aaj sheher ki iss roshni mein bhi,  

Na wo apnapan mila, na wo rishte jhilmilaaye,  

Har koi apne mein masroof hai, na doston ka jhund, na wo gappe lagaye,  

Jaha mithayi ke dabbe ab sirf formalities ban gaye hai,  

Wahi dil ko aaj bhi Mummy ke haath se bane gujiye ki aas hai....!!!


Jahaan har diya ek naye sapne jagaata tha,  

Aur rangoli mein maa ke sang rang bharke bachpana ghul jata tha,  

Jahaan waqt ruk jaata tha, sirf khushiyon ke liye,  

Aas-pados ke saath wo dosti, wo dil se 'Shubh Diwali' kehna tha...  


Ab toh sirf phone pe wishes bhejte hain,  

Woh doston ke ghar door tak jaane ka jazba kahan hai,  

Diwali ke jashn mein bhi ab jaise kuch kami hai,  

Woh pyare lamhe, woh milna julna ab kahaan hai...  


Aaj sab kuch hai, par wo masoomiyat kahan,  

Jo ek chhoti si phuljadi se duniya jagmagaati thi,   

Par andar kahi dil mein, ek chhoti si udaasi ab bhi hai, 

Diwali toh aaj bhi aati hai, lekin bachpan wali diwali ab kahan hai...  

Unn dino ko yaad kar, dil ke kisi kone mein, ek khwaish jaagti hai...

Ke kash ek baar phir se wo purani wali Diwali jee le..!!





Comments

Post a Comment

Popular Posts