Dear 2024..!!!



Dear 2024,

Tere saath ek ajeeb sa safar guzara hai,
Kabhi hasa ke khud se milaya tune,
Toh kabhi rulakar dil ko aazmaya hai...
Teri baaton ko samjhna mushkil tha,
Par jab samjha, toh sabak bade seekha gaya ...

Jab aya tha, toh saath sapne hazaar laya tha,
Par le gaya woh, jo lagte the apne.
Tune mujhe samjhaya, ki har rishte ka daaman pakadna zaruri nahi,
Jo saath na chale, unhe alvida kehna buri baat nahi.
Kaafi dost, ek ek kar anjabi ban gaye,
Aur jo bache, woh mere zindagi ka ahem hissa ban gaye.

Tere din kabhi aasman ke taare se lage,
Aur raat kabhi andheron ke saaye se ban gaye..
Kabhi laga, sab kuch mere haath se chhuta ja raha hai,
Aur kabhi laga, khud ko sametne ka yeh waqt sahi hai..
Tune mujhe giraya, par uthane ke liye hi,
Tune dard diya, par mazboot banane ke liye hi...!!!

Tune dikhaya ki zindagi ek tasveer si hai,
Jo har Chaap mein nayi kahani likhti hai...
Kabhi khushi ke rang bhar diye,
Toh kabhi dukh ke saaye chhod gaye...
Par end mein, yeh tasveer mujhe pasand aayi,
Kyuki ismein jo bacha, woh sukoon tha, woh saccha tha...!!

Dear 2024, 
tune mujhe apne aap se milaya hai,
Jo log mujhe samajh na sake, unse door bhi karaya hai...
Tune choti cheezon mein khushiya dhundhni seedkhayi hai...
Aur meri zindagi kaise apni sharto pe jeeni hai, yeh bhi khoob bataya hai...
Jo rishte ban sake, unhe sambhalna sikhaya,
Aur jo na ban sake, unhe bhoolna sikhaya hai...!!!

Tere har din ka shukriya,
Tere diye har sabak ka shukriya.
Tune mujhe badla, aur yeh badalna zaruri tha,
Kyuki jo main aaj hoon, woh kal kabhi thi nahi...

Ab ja raha hai tu, par yaadon mein rahega,
Tere diye jazbaat, tere diye pal, sab sambhal ke rakhungi,
Dear 2024, tujhe bhoolna mumkin toh nahi,
Kyuki, tune banaya hai mujhe woh, jo main kabhi thi nahi...!!!!

And Dear 2025, 

Abki ana, toh mere banke ana...!!!!!💖




Comments

Popular Posts